Ye dekhne sunane me thoda ajeeb to lagta hai, lekin fir bhi aisa hota hai. Balki kabhi-kabhi to aisa lagta hai ki aisa hi hota hai!
Aajkal desh me FDI ki charcha hai. Wall-mart prateek ke roop me akhbaaron me chhaya hua hai. Gambheer aalekhon me bhi, aur kartoon chitron me bhi. Is mudde par hamaari sarkaar aur mukhya partiyan theek vaisa hi bartaav kar rahi hain, jaisa bachche khel-khel me karte hain. Pal me tola, pal me masha. Aam janta ko is par apni koi raay, ya vichaar banaane me thoda wakt lagega.Jansankhya ki maar aur asamaan vitran ne hamaare khudra bazaron ko aisa bana diya hai, jahan milawat, kam taulna, ghatiya ya nakli maal poori keemat me milna, mashhoor branded kampniyon ke lebal ke sath sthaneey utpadanon ka milna aam baat ho gayee hai.
Aise me ham fir aise ek do-rahe par khade hain, jahan ek or swabhimaan aur bhavna hai, doosri or suvidha aur vikaas. Faisle ki is ghadee me saare refree alag-alag disha me munh karke seetee bajaa rahe hain. Yahi LOKTANTRA hai!

No comments:
Post a Comment